Tuesday, July 14, 2009

Guzar Gaya

Wo dair tak sunta raha meri rahguzar ki hikayatain,
Meri arzu ke hisaar mein wo afton say guzar gaya

Usay bekhudi ki talash hai kari aafton ki khabar kahan,
Usay uski manzil nawaz day wo musafaton say guzar gaya

Wahan roshni ka hajoom hai yahan khalwatain behisaab hain,
Mujhey benishan ka hisab day key mein ujlaton say guzar gaya

Meri aasteen mein saraab hai teri arzoo ik khwab hai,
Meree dasht ko bhi kinaar day k mein barishon say guzar gaya

Teray raaste bhi ajeeb hain teray faislay abhi door hain,
Mujhey meri manzil nawaz day k mein koshishon say guzar gaya

Meri rat jagon ka hisab kar meri zindagi ka nisab kar,
Mujhey khoone dil se daraz kar k mein ghaflaton say guzar gaya

Yehi meri raah ka noor hai yehi teri chah ka nishaan bhi,
Mere ishq ko tu hi kamal day k mein rahaton say guzar gaya

...

No comments: